Date: Thursday 21 Nov 2024
Topic: Nahi Anil Munkar
Q: Agar talib ilm shar'i khilaf warzi kare to usay maarne ya saza dene ke silsile mein aap ki kya raye hai kyon ke usay chornay aur saza na dene se madresse ke mahaul mein wahi khilaf warziyan aam ho sakti hain?
A: Agar maarne se kam tar kisi aur tareeqay se usay rokna mumkin na ho, jaise kaan kheenchnay waghera to ihtiyat wajib ki bina par teen chori se zyada na maarne ki ijaazat hai aur yeh wali (sarparast) ki ijaazat se hona chahiye. Sath hi narmi se maara jaye taake jism par koi surkhi na aaye, warna is par diyat wajib hogi.