Date: Wednesday 4 Dec 2024
Topic: Bibi Fatima Zehra (S.A)
Q: Kya hay wo raaz jo Hazrat Fatima Zahra (S.A) ki qabar ko chupane mein tha? (Part 2)
A: Hazrat Zahra (S.A) ko chhup kar dafan karne aur unki qabar ko chupane ki hikmat kuch ho sakti hay: a. Ibne Nabata se riwayat hay ke Ameerul Momineen (A.S) say poocha gaya ke Aap (A.S.) ne Hazrat Fatima (S.A) ko raat mein dafan kiya, is ka kya sabab tha? To unhone jawab diya: "Woh kuch logon se naraz thi aur wo nahi chahti thi ke wo unki namaz-e-janaza mein shamil hon." (Amali al-Saduq, Safha 523). b. Ibn Al-Batta’ini ne apne walid se riwayat ki ke unhone Imam Abu Abdillah (A.S) se poocha ke Hazrat Fatima (S.A) ko raat mein dafan karne ka kya sabab tha? To Imam (A.S) ne jawab diya: "Unhone wasiyyat ki thi ke do Aa’rabiyon ko unki namaz-e-janaza mein shamil na hone diya jaye." (Ilal al-Shara’i' al-Saduq, Juz 1, Safha 185).**