Aaj Ka Sawal » Wazoo

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Kiya Us Thanday Pani Se Wuzu Karna Jo Makka Main Sirf Peenay Kay Liye Makhsoos Hay, Jaiz Hay?
A: Agar Ye Pani Sirf Peenay Kay Liye Makhsoos Hoto Jaiz Nahi Hay.
Q: Wuzu Kay Doran Wuzu Ki Niyyat Kartay Waqt Kiya Kehna Chahiye?
A: Niyyat Ko Zaban Se Jari Karna Zaroori Nahi Hay Balkay Sirf Amal Ko Anjam Denay Ki Taraf Mutawajjeh Hona Hi Kaafi Hay Niyyat Kay Liye.
Q: Kiya Hath Par Lagi Huwi Siahi Wazoo Aur Gusal Me Rukawat Hay? Kiya Is Siahi Kay Upper Wazoo Kar Sakte Hay?
A: Agar Siahi Aiesay Chemical Ya Cheez Par Mushtamil Na Ho Jo Jild Aur Pani Kay Darmiyan Hail Ho To Is Kay Upper Wazoo Ya Ghusal Durust Hoga Aur Agar Wo Cheez Rukawat Banti Hay To Isay Saaf Aur Bartaraf Karna Zaroori Hoga
Q: Agar Kisi Ko Namaz Kay Baad Pata Chalay Kay Is Ka Wuzu Baatil Hogaya Tha Lekin Shak Ho Kay Namaz Say Pehlay Baatil Huwa Ya Baad Main To Is Ki Kia Zimaydaari Hay?
A: Jo Woh Namaz Par'h Chuka Hay W Sahih Hay.

Gides © 2025 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved