Aaj Ka Sawal » Tawasaal

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Kiya Ahlebait Alihimus Salam Kay Haqq Ki Maarifat Rakhnay Waloo Kay Liye Jaiz Hay Kay Wo Khuda Ki Bargah Main Baghair Kisi Waseelay Kay Dua Karain Is Aetiqaad Kay Sath Kay Nemat Denay Wali Aur Logon Par Apna Fazl Baantnay Wali Zaat Sirf Khudae Wahdaho La-shareek Hay?
A: Jaiz Hay, Laikin Rasool SAWW Aur Ahlebait As Kay Tawassul Kay Sath Dua Karna , Dua Ki Qubooliat Ko Qareeb Karta Hay Jis Tarah Gunahaar Kay Liye Quran Majeed Main Targheeb Dilai Gaee Hay Kay Wo RASOOL SAWW Ki Bargah Main Haazir Ho Aur Apnay Gunaaho Ki Maafi Mangay, Irshaade Rabbul Izzat Horaha Hay:" Agar Ye Log Apnay Nafsoo Par Zulm Karnay Kay Baad Tumhari Taraf Aain Aur ALLAH Say Apnay Gunaaho Ki Maafi Maangain Aur RASOOL SAWW Bhi Unkay Liye Istighfaar Talab Karay To Ye Log Khuda Ko Intihai Bakhshnay Wala Aur Rehem Karnay Wala Paaingay". Laikin Ye Is Wajah Se Nahi Hay Kay Khuda Naoozubillah Kisi Waseelay Ka Mohtaaj Hay Balkay Waseela Un Cheezoo Main Se Hay Jiska Khuda Ki Hikmate Aaliya Taqaza Karti Hay Apnay Saaleh Bandoo Ki Qadr Dani Ki Khaatir.

Gides © 2024 web developtment by GIFS Team | Rights Reserved