Aaj Ka Sawal » Tarbiyyat e aulaad

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Kis Had Tak Apni Aulaad Par Namaz Aur Hijaab Kay Liay Jabar Kia Ja Sakta Hay?
A: Agar Baligh Hon To Amar Bil Maroof Aur Nahi Anil Munkir Kia Ja Sakta Hay Aur Ehtiyat E Wajib Ki Bina Par Hakim E Sharah Ki Ijazat Kay Bagair In Ko Maarna Peetna Jaaiz Nahi Hai, Haan Un Ki Madad [maali Aur Doosri] Band Karnay Walay Tareeqay Say Faida Utha Kar Inhain Sudharah Ja Sakta Hay.
Q: Agar Koi Baap Namaz E Subah Kay Liay Apnay Baaligh Bachon Ko Neend Say Is Tarhan Uthaay Kay Un Ki Narazgi Ka Sabab Ho To Kia Wo Gunah Gaar Hay?
A: Agar Tarbiyyat E Deeni Ka Yehi Taqaza Ho Aur Wo Susti Ki Wajah Say Na Uthtay Hon To Un Ko Jagana Zaroori Hay.

Gides © 2024 web developtment by GIFS Team | Rights Reserved