Aaj Ka Sawal » Sajdah

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Agar Sajday Say Uthtay Howay Sajdaga Peshani Say Chipak Jay To Kia Hukum Hay?
A: Zaroori Hay Kay Dosray Sajday Kay Liay Isay Peshani Say Hata Kar Us Par Sajda Kia Jay.
Q: Kia Haaiza Aurat Wajib Sajday Wali Aayatain Aur Surah Par’h Sakti Hay?
A: Haaiza Sirf Wo Chaar(4) Aayatain Nahi Par’h Sakti Jin Mein Sajday Wajib Hain, Is Kay Ilawa Poora Quran Par’h Sakti Hain.
Q: Kachhay Angoor Kay Pattoun Par Sajdah Karnay Ka Kia Hukum Hay? Jabkay Un Ko Aam Tor Par Khaya Bhi Jata Ho?
A: Agar Inhain Khaya Jata Hay To Haraam Hay.
Q: Agar Sajdhay Main Sajdagah Paishani Say Chipak Jaye To Kia Hukum Hay?
A: Zaroori Hay Kay Dosray Sajday Kay Liay Usay Churra Lay.
Q: Sajday Main Pair Kay Angothay Kay Ilawa Doosri Unglio Ka Bhi Zameen Par Hona Zaroori Hay?
A: Zaroori Nahi Hay.
Q: Kya Tissue Paper Aur Aam Kaghaz Par Sajda Jaaiz Hay?
A: Agar Maloom Ho Kay Aisi Cheez Say Bana Hah Jis Par Sajda Saheeh Hay To Koi Haraj Nahi Hay.
Q: Aa Kharee Sajda Mein Zikar Sajda Ke Baad Ziyarat Aashorh Ke Is Jumla [allahumma Azrukni Shafat Al-hussein] Ka Parhna Kaisa Hai?
A: Jaaiz Hai.
Q: Sajday Mein Khawateen Ka Kohni Tak–apne Hathon Ka Zameen Par Rakhnay Ka Kya Hukum Hai?
A: Mustahib Hai.
Q: Agar Sajday Mein Sajdgha Peshani Chipak Jaye To Kya Hukum Hai?
A: Zaroori Hai Ke Dosray Sjday Ke Liye Usay Churra Le.

Gides © 2024 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved