Aaj Ka Sawal » Roza

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Wo Qatray Jo Ankh Ya Kan Main Dalay Jatay Hain Aur In Ka Zaiqa Halaq Tak Mehsos Hota Hay, Kia Is Say Rozay Batil Hota Hay?
A: In Kay Istaymal Say Roza Batil Nahi Hota.
Q: Rozay Ki Halat Main Dant Nikalwanay Ka Kia Hukum Hay?
A: Danat Nikalwana Aur Har Wo Kaam Karna Jis Ki Waja Say Munh Say Kohn Niklay Makrooh Hay.
Q: Agar Rozay Dar Mayyat Ko Mas Karay To Rozay Ka Kia Hukum Hay?
A: Us Ka Roza Batil Nahi Hoga.
Q: Aashurah [10 Muharram] Kay Din Roza Rakhnay Kaisa Hay?
A: Aashurah Kay Din Roza Rakhna Makroh Hay.
Q: Wo Qatray Jo Aankh Ya Kaan Main Daalay Jatay Hain Aur Un Ka Zaaiqa Halaq Tak Mehsoos Hota Hay Kia Is Say Roza Baatil Hota Hay?
A: Un Kay Istaymaal Say Roza Baatil Nahi Hota.
Q: Agar Rozaydaar Jaan Boojh Kar Qay Kar Day To Rozay Ka Kia Hukum Hay?
A: Agar Rozaydaar Jaan Boojh Kar Qay Karay To Agarchay Wo Bemarie Ki Waja Say Aisa Karnay Par Majboor Ho Phir Bhi Is Ka Roza Baatil Ho Jata Hay.

Gides © 2024 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved