Aaj Ka Sawal » Rad e Mazalim

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Kin Gunaaho Ki Bina Par Radde Mazalim Adaa Karna Wajib Hojata Hay?
A: Insaan Ki Gardan Par Jo Maali Haqqun Naas Hon Aur Wo Maal Kay Maalik Ko Na Janta Ho Ya Jaanta Ho Laikin Maal Is Tak Nahi Pohuncha Sakta Ho Iski Wajah Se Is Par Radde Mazaalim Ada Karna Wajib Ho Jata Hay.
Q: Kiya Wo Raqam Jo Radde Mazalim Kay Liye Mukhtas Ho Usay Sadqay Kay Masaarif Main Kharch Kiya Jasakta Hay?
A: Radde Mazalim Ka Masraf Mutadayyan Faqeer Hay Aur Aihtyaat E Wajib Ki Bina Par Haakime Share'e Ki Ijazat Se Diya Jana Chahiye.
Q: Kiya Radde Mazalim Ko Marjae Taqleed Ki Ijazat Kay Baghair Ada Kiya Jasakta Hay?
A: Aihtyaat Ki Bina Par Jaiz Nahi Hay.
Q: Radde Mazalim Ki Miqdaar Kitni Hoti Hay Aur Kab Adaa Kiya Jata Hay,kiya Khums Kay Saal Main Ada Karna Wajib Hay Aur Agar Kisi Ka Koi Karobaar Ho To Radde Mazalim Kis Cheez Par Nikalay Ga? Aya Saal Kay Munafay Par Ya Kisi Aur Cheez Par Takay Jo Raqam Ada Karay Wo Radde Mazalim Kay Liye Hi Mukhta
A: Radde Mazalim Se Muraad Wo Maali Huqooq Hain Jo Insaan Ki Gardan Par Hotay Hain Jabkay Insaan In Amwaal Kay Maalikaan Ko Na Janta Ho Ya Maal Ko Saahie Maal Tak Pohunchana Mumkin Na Ho To Is Soorat Main Insaan Utni Hi Miqdaar Main Kay Jo Usay Doosro Ko Ada Karni Hay Sadqa Karta Hay Aur Is Sadqay Ko Radde Mazalim Kaha Jata Hay.

Q: Rad E Mazalim Kia Hai?
A: Wo Maal Jo Insaan Nay Kisi Say Zulm Kar Kay Lia Hai Ya Isay Talf Kia Hai Aur Wapis Nahi Kia Hai.
Q: Radday Mazalim Kia Hay?
A: Wo Maal Jo Insaan Nay Kisi Say Zulm Kar Kay Lia Hay Ya Isay Talf Kia Hay Aur Wapis Nahi Kia Hay.
Q: Radday Mazalim Ka Kia Hukam Hay?
A: Is Ka Sharaie Hukum Yeh Hay Kay Agar Is Kay Malik Ko Pechanta Hay Toh Isay Wapis Karay Aur Agar Is Kay Malik Ko Nahi Pechanta Ya Is Kay Milnay Say Mayoos Hay To Deendar Ghareeb Momin Ko Sadqa Dain Aur Kaam Kay Liay Ehtiyat E Wajib Ki Bina Par Marja E Taqleed Say Ijazat Lain.
Q: Rad E Mazalim Kia Hota Hay?
A: Wo Maal Jo Insaan Nay Kisi Say Zulm Kar Kay Lia Ho Ya Usay Zaya Kar Dia Ho Aur Iska Izala Na Kia Ho.
Q: Rad E Mazalim Ka Kia Hukum Hay?
A: Is Ka Sharai Hukum Yeh Hay Kay Agar Is Kay Maalik Ko Pehchantay Ho To Usay Wapis Karay Aur Agar Is Kay Maalik Ko Nahi Jantay Ho Ya Is Kay Milnay Say Mayoos Ho To Deen Dar Momin Ko Sadqa Dain Aur Is Kaam Kay Liay Ehtiyat E Wajib Ki Bina Par Apnay Marjay E Taqleed Say Ijaazat Lain.

Gides © 2024 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved