Aaj Ka Sawal » Pardah

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Kia Aurto Kay Liay Scarf Chadar Say Bahar Rakhnay May Koi Haraj Hai?
A: Is May Koi Haraj Nahi Hay Magar Baal Nazar Nahi Aana Chahiay.
Q: Khawateen Kay Liay Khawateen Ki Shadi Ki Mehfiloon Main Gair Munasib Aur Waqaar Say Hat Kar Libas Pehanna Hay?
A: Bazate Khud Haram Nahi Hay.
Q: Kia Khawateen Azadar Mardon Ka Jisam Daikh Sakhti Hain, Jo Azadari Kay Moqay Par Apna Libas Utar Daitay Hain?
A: Ehtiyat E Wajib Ki Bina Par Jaiz Nahi Hay.
Q: May Aik Satrah(17) Sal Ki Larki Hon, Meri Walida Nay Aik Mard Say Shadi Karli Hay, Unka Ka Aik(1) Sala Baita Bhi Hay, Mujhay In Dono Say Hijab Karnay Ka Hukum Bataiay?
A: Aap Ka Sotaila Baap Ap Kay Liay Mehram Hay Magar Un Ka Baita Namehram Hay(albatta Abhi Gair Mummayyaz Hay Isliay Us Say Hijab Lazim Nahi).
Q: Kia Koi Aurat Paint Shirt Pehan Kar Baazaron Ya Sar’ko Par Nikal Sakhti Hay?
A: Agar Is Kay Badan Kay Hassas Hissay Numaya Hotay Hoon Aur Daikhnay Walon Kay Jinsi Ehsasaast Mutassir Hotay Hon Toh Jaiz Nahi Hay.
Q: University Ki Class Main Larki Aur Larke Ka Aik Sath Bethnay Ka Kia Hukum Hay?
A: Sharaie Hudood Ki Riaayat Kay Sath Koi Haraj Nahi Hay.
Q: Kya Koi Aurat Paint Shirt Pehan Kar Bazaro Ya Strkon Par Ghoom Sakti Hai?
A: Agar Is Ke Badan Ke Hassas Hissay Numaya Hotay Hon Aur Dekhnay Walon Ke Jinsi Ehsasat Mutasir Hotay Hon To Jaaiz Nahi Hai.

Gides © 2024 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved