Q: Kia Biwi Kay Liay Shohar Ki Ijazat Kay Bagair Kisi Khas Amal Ki Nazar Karna Jaiz Hai?
A: Biwi Ka Shohar Ki Ijazat Kay Bagair Kisi Aisay Amal Ki Nazar Karna Jo Haq E Zojiyyat Kay Manafi Ho Durust Nahi Hay.
Q: Nazar Ki Tareef Kia Hay?
A: Nazar Yeh Hay Kay Insaan Apnay Aap Par Wajb Karlay Kay Allah Taala Ki Raza Kay Liay Koi Acha Kaam Karay Ga Ya Koi Aisa Kaam Jis Ka Na Karna Behtar Ho Tark Karday Ga.
Q: Kia Nazar Ka Seegha Parhna Zaroori Hay?
A: Jee Nazar May Seegha Par’hna Zaroori Hay Magar Lazim Nahi Kay Arabi Main Parha Jay Layhaza Agar Koi Shakhs Kahay Kay Maira Mareez Sehat Yab Ho Gaya To Allah Ki Khatir Mujh Par Lazim Haay Kay Main Das(10) Rupay Faqeer Ko Doon Ga To Is Ki Nazar Saheeh Hay.
Q: Agar Koi Shakhs Kisi Haraam Ya Makrooh Ko Anjaam Dainay Ki Nazar Karay Tau Kia Hukum Haay?
A: Is Ki Nazar [ Mannat ] Saheeh Nahi Hay.
Q: Agar Koi Shakhs Kisi Wajib Ya Mustahab Kaam Ko Tark Karnay Ki Nazar Karay To Kia Hukum Hay?
A: Is Ki Nazar [ Mannat ] Saheeh Nahi Hay.
Q: Agar Aurat Shohar Ki Ijazat Say Nazar Karay Aur Is Ko Shohar Nazar Khatam Karnay Ya Nazar Par Amal Karnay Say Mana Karay To Kia Hukum Hai?
A: Shohar Na Is Ki Nazar Khatam Kar Sakta Hay Aur Na Is Ko Amal Karnay Say Rok Sakta Hay.
Q: Agar Koi Nazar Par Amal Na Karay To Kia Hukum Hay?
A: Wo Gunehgaar Hay Aur Zaroori Hay Kay Kaffara Day.
Q: Nazar Par Amal Na Karnay Ka Kaffara Kia Hay?
A: Santh(60) Faqeero Ko Pait Bhar Kar Khana Khilaay Ya Do(2) Mahinay Musalsal Rozay Rak-khay Ya Aik Ghulam Azaad Karay.