Wednesday, January 22, 2025 -  (1446 رجب 20)

Aaj Ka Sawal »

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Aya Behtar Hay Kay Azadari Main Poora Majma Jama Honay Se Pehlay Hi Juloos Nikaal Liya Jaey Takay Waqte Namaz Honay Se Pehlay Hi Azadari Mukammal Karli Jaey? Ya Basoorate Deegar Ziada Azadaroo Kay Jama Honay Ka Intizaar Kar Liya Jaey Jabkay Is Soorat Main Namaz Ka Waqt Marasime Azaa Kay Mukamma
A: Azadaaro Ki Bharpoor Ta'daad Kay Jama Honay Ka Intizaar Kiya Jasakta Hay Albatta Namaz Ka Waqt Hojaey To Munasib Ye Hay Kay Mazasime Azaa Ko Rok Kar Pehlay Nmaaz Ada Ki Jaey Aur Phir Azadari
Q: Abul Ahraar Imam Hussain As Kay Yeoume Tasooa'a(9 Moharram) Kay Din Tijartee Marakiz Aur Dukaanain Kholna Kiya Hukum Rakhta Hay?
A: Agar Ye Kaam Aihlebait As Par In Dinoo Main Guzarnay Walay Masaib Se Be-eitinaee Shumaar Hoto Phir Zaroor Is Say Guraiz Karna Chahiye.
Q: Gusal E Jumaa Ka Waqt Kiya Hay?
A: Gusal E Jumaa Ka Waqt Subh Ki Azan Kay Baad Say Suraj Guroob Honay Tak Hay Aur Behtar Ye Hay Kay Zohar Kay Qareeb Baja Laya Jay.
Q: Computer Par Football Khailnay Ka Kia Hukum Hay Jis May Aik Jeetta Hay Aur Aik Haarta Hay Ya Game Barabar Hojata Hay?
A: Bagair Shart Kay Haraj Nahi Hay.
Q: Kia Ghusal E Masay Mayyat Kay Baad Wuzu Karna Zarori Hay?
A: Wuzu Karna Zarori Nahi Hay.
Q: Agar Bar’ay Baitay Ko Shak Ho Kay Koi Qaza Namaz Us Kay Baap Kay Zimmay Thi Ya Nahi, To Us Kay Liay Kia Hukum Hay?
A: Us Par Kuch Wajib Nahi Hay.
Q: Agar Bar’ay Baitay Ko Maloom Ho Kay Us Kay Baap Kay Zimmay Qaza Namazain Theen Laikin Shak Ho Kay Us Nay Wo Parheen Thi Ya Nahi Toh Us Ki Kia Zimaydari Hay?
A: Ehtiaat E Wajib Ki Bina Par Zaroori Hay Kay Un Ki Qaza Baja Laay.
Q: Namaz E Subha Ka Kia Waqt Hay?
A: Subha Ki Aazan Kay Qareeb Mashriq Ki Taraf Say Aik Safaydi Oopar Uthti Hay Jisay Fajar E Awwal Kaha Jata Hay, Jab Yeah Safaydi Phail Jay Toh Fajar E Dowwum Aur Subha Ki Namaz Ka Awwal Waqt Hay Aur Subha Ki Namaz Ka Aakhiri Waqt Sooraj Nikalnay Tak Hay.
Q: Yahoodi, Eesaaie Ya Dosray Aisay Par’osi Jo Deen Ki Parwah Nahi Kartay Hain, Un Ko Aziyat Pohchana Kaisa Hay?
A: Bila Wajah Un Ko Aziyat Ponhchana Jaaiz Nahi Hay.
Q: Taqayya Kisay Kehtay Hain ?
A: Taqayya Kay Lugawi Manay Hifazat Karnay Kay Hain Aur Deeni Istilah Main Taqayya Jaan Bachanay Ki Khatir Apnay Aqeeday Ko Chupanay Kay Manay Main Istaymal Hota Hay.
Q: Agar Rozay Daar Ko Din Main Ehtihlam Ho Jaye To Kia Usay Foran Ghusal Karna Zaroori Hay?
A: Wo Namaz Ki Adaigi Tak Ta’kheer Kar Sakta Hay Balkay Agar Wo Ghusal Na Bhi Karay To Is Ka Us Din Ka Roza Saheeh Hoga.
Q: Agar Koi Fajar Kay Waqt Apnay Watan Main Ho Aur Din Kay Darmiyan Main Wo Safar Par Nikal Paray To Kia Us Din Ka Roza Us Par Wajib Hoga?
A: Agar Apnay Shehar Se Zawaal Kay Baad Niklay To Ehtiyat E Lazim Ki Bina Par Us Din Ka Roza Pora Karay.
Q: Rozay Ki Haalat Main Daant Nikalwanay Ka Kia Hukum Hay?
A: Daant Nikalwana Aur Har Wo Kaam Karna Jis Ki Wajah Say Mon Se Khoon Niklay Makrooh Hay.
Q: Agar Koi Zohar Tak Ghusal E Jumay Na Karay To Kia Hukum Hay?
A: Agar Koi Shakhs Ghusal E Juma Zohar Tak Anjaam Na Day To Behtar Hay Kay Ada Aur Qaza Ki Niyyat Kay Bagair Ghuroob E Aftaab Tak Baja Laay.
Q: Kia Kisi Khaas Moorid Main Kisi Dosray Mujtahid Ki Taqleed Ki Ja Sakti Hay?
A: Nahi Kar Saktay Hain.
Q: Billi Aur Khargosh Ko Ghar Main Palna Aur In Ki Tarbiyyat Karnay Ka Kia Hukum Hay? Kia In Kay Baloon Say Namaz Batil Ho Jati Hay?
A: In Kay Palnay Main Koi Haraj Nahi Hay Laykin Agar Badan Ya Libaas Par Namaz Guzar Main In Kay Baal Lagay Ho Toh Bina Bar Ehtiaat Wajib Namaz Batil Hai.

Gides © 2025 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved