Aaj Ka Sawal » Namaz e Jamaat

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Masjid Kay Paros May Rehne Walo Kay Liay Apne Gharo May Namaz Parhna Sahi Hai?
A: Namaz Sahi Hai Magar Masjid May Parhna Afzal Hai.
Q: Namaz E Jamaat May Agar Muqtadi Sehwan Paish Imam Say Pehlay Salam Keh Day To Kia Hukum Hay?
A: Us Ki Namaz Sahi Hay Aur Zarori Nahi Kay Wo Dubara Imam Kay Sath Salam Kahay Balkay Agar Jaan Bojh Kar Bhi Imam Say Pehlay Salam Keh Day To Bhi Koi Haraj Nahi.
Q: Muqtadi Ka Buland Awaaz May Azkaar Ka Parhna Kesa Hai?
A: Muqtadi Ka Namaz Kay Azkaar Ko Is Tarha Parhna Kay Imam Sun Le Makruh Hai.
Q: Agar Waldin Namaz E Jamaat Main Shareek Honay Say Apni Aulad Ko Mana Karain To Kia Hukum Hay?
A: Jab Bhi Waldain Ki Taraf Say Koi Hukum Ya Rok Tok Muhabbat Ki Waja Say Ho Aur Us Ki Mukhalifat Say Unhain Aziyyat Hoti Ho To Aulad Kay Liay Un Ki Mukhalifat Karna Haram Hay.
Q: Aik Shakhs Namaz Parh Chuka Ho Aur Us Kay Samnay Namaz E Jamaat Khari Ho To Us Kay Liay Kia Hukum Hay?
A: Mustahab Hay Kay Dobara Jamaat Kay Sath Namaz Parhay.
Q: Muqtadi Kay Liay Namaz E Zohar Ki Pehli Aur Doosri Rak-at Mein Surah Alhamd Aur Dosray Surah Par'hnay Ka Kia Hukum Hay?
A: Ehtiyat Ki Bana Par Nahi Par'hna Chahiay Aur Mustahab Hay Kay Koi Aur Zikr Par'hay .
Q: Muqtadi Kay Liay Takbeera Ul Ehram Ka Kia Hukum Hay?
A: Paish Imam Say Pehlay Nahi Kehni Chahiay Balkay Ehtiyat E Mustahab Yeh Hay Kay Jab Tak Paish Imam Takbeer Mukammal Na Karlay Muqtadi Takbir Na Kahay.
Q: Namaz E Jamaat Main Niyyat Kartay Waqt Muqtadi Kay Liay Paish Imam Ko Moayyan Karna Zaroori Hay?
A: Jee Haan, Laikin Paish Imam Ka Naam Janna Zaroori Nahi Hay Aur Agar Niyyat Karay Kay Main Mojoda Imam E Jamaat Ki Iqtida Karta Ho To Is Ki Namaz Sahi Hay.

Gides © 2024 web developtment by GIFS Team | Rights Reserved