Aaj Ka Sawal » Namaz

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Kiya Namaze Mayyat Aur Nikah Parhanay Ki Ujrat Lena Jaiz Hay?
A: Nikah Parhanay Ki Ujrat Lenay Main Koi Haraj Nahi Hay Magar Aihtyate Wajib Ki Bina Par Namaze Mayyat Ki Ujrat Lena Jaiz Nahi Hay.
Q: Kiya Namaz Ka Waqt Haail Hojanay Par, Jesa Kay Namaze Zohar Ka Waqt Ain Azadari Kay Darmiyan Ata Hay, Azadari Ko Rokdena Wajib Hay? Aur Kiya Is Soorat Main Marasime Aza Ko Jaari Bhi Rakha Jasakta Hay? Dono Soortoo Main Afzal Kiya Hay?
A: Awla O Afzal Ye Hay Kay Namaz Ko Awwale Waqt Main Hi Anjaam Diya Jaey Jabkay Ehem Baat Ye Hay Kay Azadari Ko Is Tarah Munazzam Kiya Jaey Kay Waqte Namaz Kay Sath Muzaahimat Na Ho.
Q: Jo Beth Kar Namaz May Sajda Na Kar Sakta Ho To Us Kay Liay Kia Hokum Hai?
A: Jo Beth Kar Zameen Pay Sajda Kar Nay Se Aajiz Ho To Zarori Hai Kay Wo Kursi Ya Kursi Jesi Jaga Par Beth Kar Sajda Karay.
Q: Kia Maa Kay Liay Namaz Itni Buland Awaz Se Parhna Kay Iska Beta Sun Lay Jaiz Hai?
A: Agar Koi Namehram Sunne Wala Na Hoto Namaz Subha, Magrib, Isha May Jaiz Hai.
Q: Agar Koi Shaks Azan E Zohar Kay Waqt Foran Namaz Ada Kiay Bagair Apne Ghar Se Safar Par Niklen Aur Magrib Kay Bad Apni Manzil E Maqsood Par Ponchen To Kiya Ye Shaks Gunahgar Hoga, Kiya Is Shaks Pay Namaz Ki Qaza Bhi Wajib Hogi?
A: Jee Han Ye Shaks Gunahgar Hay Is Liay Kay Is Ne Farz Namaz Ko Bar Waqt Ada Nahi Kiya Aur Safar Par Rawana Hogaya Is Shaks Par Qaza Bhi Wajib Hai.
Q: Kia Tiles Aur Ma’dni Stones Par Sajdah Karna Sahi Hay?
A: Tiles Par Sajda Sahi Nahi Hay Laikin Ma’dni Pathron Par Sahi Hay.
Q: Kia Namaz E Subah Kay Wajib E Kifaie Honay Ka Aqeedah Rakhna, Zaroriat E Islam Kay Inkaar Kehlay G?
A: Haan Zaroriat E Deen Kay Inkaar Kehlay Ga Aur Agar Risalat Ki Takzeeb Ka Sabab Ho To Is Ka Murtad Hona Saabit Hojay Ga.
Q: Zohar Wa Asar Kay Ilawa Doosri Namazon Ko Kis Qadar Buland Aawaz Say Parhna Chahiay ?
A: Itni Buland Aawaz Say Par’hay Kay Usay Urfan Aam Main Jehar ( Buland Aawaz ) Kaha Ja Sakay .
Q: Ruku Wa Sujood Main Aik Baar Subhan Allah Par'h Laina Kaafi Hay?
A: Ehthiaat Wajib Ki Binaa Par Aik Baar Par'hnay Kafi Nahi.
Q: Namaz E Subah Ka Kia Waqt Hay?
A: Subah Ki Aazaan Kay Qareeb Mashriq Ki Taraf Say Aik Safaidi Oopar Uthti Hay Jisay Fajar E Awwal Kaha Jata Hay, Jab Yeh Safaidi Phail Jaye To Wo Fajar E Dowwum Aur Subah Ki Namaz Ka Awwal Waqt Hay Aur Subah Ki Namaz Ka Aakhri Waqt Sooraj Doobnay Tak Hay.

Gides © 2024 web developtment by GIFS Team | Rights Reserved