Aaj Ka Sawal » Mustahab Roza

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Agar Kisi Nay Mustahab Roza Rakha Ho Aur Koi Momin Bhai Khanay Ki Dawat Day To Kia Hukum Hai?
A: Agar Koi Momin Bhai Khanay Ki Dawat Day To Mustahab Hay Kay Uski Dawat Qabool Krlain Aur Din Me Hi Roza Khol Lay Khowa Zohar Kay Baad Hi Kio Na Ho.
Q: Pehli Zilhaj Ko Roza Rakhnay Ka Kia Hukum Hay?
A: Roza Rakhna Mustahab Hay.
Q: Yom E Arafa Ko Roza Rakhnay Ka Kia Hukum Hay?
A: Roza Rakhna Mustahab Hay Laikin Agar Insan Roza Rakhnay Ki Wajah Say Paida Hone Wali Kamzori Ki Bina Par Yom E Arfa Ki Dua Na Parh Sakay To Roza Rakhna Makroh Hay.
Q: Aulad Ka Waldain Ki Ijazat Kay Bagair Roza Rakhnay Ka Kia Hukam Hay?
A: Agar Aulad Ka Mustahab Roza Ma Baap Ki Aulad Say Shafqat Ki Waja Say Maa Baap Kay Liay Aziyyat Ka Sabab Ho To Aulad Kay Liay Mustahab Roza Rakhna Haram Hoga.
Q: Shadi Shuda Aurat Kay Mustahab Rozay Rakhnay Ka Kia Hukum Hay?
A: Agar Aurat Kay Mustahab [nafli] Rozay Rakhnay Say Shohar Kay Haq E Lazat Ki Haq Talfi Hoti Ho To Aurat Ka Roza Rakhna Haram Hay.

Gides © 2024 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved