Aaj Ka Sawal » Miya biwi kay huqooq

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Kiya Biwi Shohar Ki Ijazat Kay Bagair Parhnay Ja Sakti Hay?
A: Parhnay Kay Liay Shohar Ki Ijazat Zaroori Nahi Lekin Ghar Say Bahir Janay Kay Liay Us Ki Rizayat Zaroori Hay, Han Ghar May Reh Kar Parha Ja Sakta Hay.
Q: Kiya Biwi Shohar Ki Ijazat Kay Bagair Shohar Kay Ghar Say Apnay Waldain Ko Milnay Ja Sakti Hay?
A: Jaiz Nahi Hay Magar Sirf Wajib Silah Rehem Ki Had Tak Ja Sakti Hay.
Q: Har Mard Par Us Ki Biwi Kay Kuch Huqooq Hotay Hay Jin Ka Ada Karna Us Kay Liay Zaroori Hay Agar Shohar In Ko Ada Na Karay To Kiya Biwi Us Ko Hum Bistari Say Rok Sakti Hay?
A: Biwi Aisa Nahi Kar Sakti Lekin Agar Shohar Par Samjhanay Ka Koi Asar Na Ho To Wo Hakim E Shara Say Is Ki Shikayat Kar Kay, Is Say Apnay Huqooq Ka Mutaliba Kar Sakti Hay.
Q: Kiya Biwi Ko Nokri Karnay Kay Liay Shohar Say Ijazat Laina Zarori Hay?
A: Agar Shadi Say Pehlay Ye Baat Tay Howi Thi Kay Wo Kaam Kar Sakti Hay Ya Us Waqt Shohar Nay Ijazat Di Thi To Mana Karnay Ka Haq Nahi Hay, Han Ghar Say Nikalnay Kay Liay Shohar Ki Ijazat Zarori Hay Aur Agar Kam Ghar May Anjam Day Aur Shohar Kay Huqooq Ki Reaayat Karay To Shohar Usay Kaam Say Nahi Roak Sakta.
Q: Kya Kisi Mard Ke Liye Jaaiz Hai Ke Woh Aur Logon Ke Samnay Rukhsat Hotay Waqt Ya Istaqbaal Karte Waqt Apni Biwi Ko Gilaay Lagaye Aur Is Ka Bosa Le?
A: Ahthyat Wajib Ke Tor Par Islami Hijaab Ka Khayaal Rakhna Zaroori Hai, Lekin Yeh Amal Agar Ouron Ke Liye Lazzat Amaiz Nah Ho To Jaaiz Hai Lekin Aik Musalman Ke Liye Yeh Behtar Hai Ke Doosron Ke Samnay Aisi Harkaat Se Ijtinab Kere.

Gides © 2024 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved