Q: Kiya Majlise Azaa Aur Marsia O Nauha Parhnay Wali Khatoon Kay Liye Apni Awaaz Ko Ghair Mard Ko Sunaana Jaiz Hay? Aur Kiya Mard Kay Liye Usay Sunna Jaiz Hay? Aur Sima'a Ghair Amdee(baghair Iraday Kay Sunna) Jesa Kay Agar Paros Main Khawateen Ki Majlis Horahi Ho Aur Koi Mard Apnay Ghar Main Be
A: Agar Awaaz Main Baareeki, Khoobsortee Awr Banao Aur Heejan-angezi Na Ho To, Khatoon Kay Liye Apni Awaaz Sunana Jaiz Hay. Albatta Mard Kay Liye Iski Awaaz Ko Sunna Uswaqt Jaiz Hay,jab Shehwat Angezi,lazzat Aur Dil Main Mael Na Aaey, Aur Wo Apnay Nafs Par Haram Main Mubtala Honay Ka Khouf Bhi Na Rakhta Ho.albatta Aisa Honay Ka Faqat Shak Ho To Is Soorat Main Aihtyaat Hi Munasib Hay. Balkay Behtar Hay Kay Baghair Zaroorat Kay Na Sunaya Jaey Aur Na Hi Suna Jaey.(beshak ALLAH Ki Ismat Ataa Karnay Wala Hay).