Aaj Ka Sawal » Khums

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Agar Koi Shia Isna Asheri Musalman Kisi Dosray Musalman Say Aisa Maal Khareeday Jis Ka Khums Ada Na Kia Gaya Ho To Kia Hukum Hay?
A: Is Ko Baichnay Walay Par Khums Hai, Khareednay Walay Par Kuch Wajib Nahi Hai.
Q: Agar Koi Shaks Shia Isna Ashari Musalman Ko Koi Aisi Cheez Atya Karay Jis Ka Khums Ada Na Kia Gaya Ho, To Is Kay Khums Ki Adaigi Kis Kay Zimay Hain?
A: Atyia Krnay Walay Kay Zimmay Hogi, Jis Ko Atya Dia Gaya Hai Us Kay Zimay Kuch Wajib Nhi Hai.
Q: Jab Aik Sal Tak Hadya Ko Istaymal Na Kia Gaya Ho, To Kia Is Par Khums Wajib Hoga? `
A: Je Han Wajib Hoga
Q: Jab Aik Sal Tak Hadiay Ko Istemal Na Kia Gaya Ho To Kia Is Par Khums Wajib Hai?
A: Je Han Wajib Hai
Q: Kiaa Maalik, Mustahiq E Khums Say Yeh Shart Kar Saktha Hay Kay Wo Khums Lay Kar Is Ko Lota Day?
A: Nahi, Is Ki Shart Nahi Kar Saktha Hay.
Q: Agar Kisi Aisay Zaroratmand Sayyed Ko Khums Dia Ja Sakta Hay, Jiskay Ikhrajaat Kisi Aur Kay Zimmay Hon?
A: Agar Jis Kay Zimmay Is Sayyed Kay Ikhrajaat Wajib Ho Wo Na Daita Ho To Is Zaroratmand Sayyed Ko Khums Dia Ja Sakta Hay.
Q: Agr Koi Shia Isna Ash’ari Musalman Kisi Dosray Musalman Say Aisa Maal Khareeday Jis Ka Khums Ada Na Kia Gaya Ho To Kia Hukum Hay?
A: Is Ko Baichnay Walay Par Khums Hay, Khareednay Walay Par Kuch Wajib Nahi Hay.
Q: Agar Koi Shakhs Kisi Shia Isna Ash’ari Musalman Ko Koi Aisi Cheez Atya Karay Jis Ka Khums Ada Na Kia Gaya Ho To Is Khums Ki Adaygi Kis Kay Zimmay Hay?
A: Atya Karnay Walay Kay Zimmay Hoga.
Q: Agar Koi Shakhs Kahay Kay Main Syed Hon To Is Ko Khums Dainay Ka Kia Hukum Hay?
A: Usay Us Waqt Tak Khums Nahi Dia Jaay Jab Tak Do(2) Aadil Afrad Is Kay Syed Honay Ki Tasdeeq Na Kardain Ya Insaan Ko Kisi Bhi Tareeqay Say Yaqeen Ya Itminan Ho Jaye Kay Wo Syed Hay.

Gides © 2024 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved