Aaj Ka Sawal » Khareed o farokht

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Retirement Kay Baad Milnay Walay Paisay Say Kiya Insaan Mustatee Hojata Hay?
A: Agar Wo Paisa Kaafi Miqdar Main Ho Aur Insaan Qarzdar Na Ho Aur Wo Paisa Insan Ki Zaroorat Say Ziada Hoto Is Par Hajj Wajib Hojaiga.
Q: Mard Kay Liay Khawateen Kay Makhsoos Makeup Aur Aaraish Ka Saman Farokht Karnay Ka Kia Hukum Hay?
A: Is Kaam May Koi Haraj Nahi Hay, Laikin Agar Haram May Mubtila Honay Ka Khauf Ho To Haram Hay
Q: Kia Gair Muslim Mumaalik Ko Weshi Sowwar Ka Gosht Baichna Jaiz Hay?
A: Jaiz Nahi Hai.
Q: Qistoon Par Kisi Bhi Samaan Ko Is Ki Haqeeqi Qeemat Se Mehanga Baichnay Aur Kharidne Ka Kya Hukum Hai ?
A: Is Terhan Se Khareedna Aur Bechna Jaaiz Hai Lekin Baichi Hui Qeemat Par Takheer Ki Wajah Se Izafi Paisay Lena Jaaiz Nahi Hai .

Gides © 2024 web developtment by GIFS Team | Rights Reserved