Aaj Ka Sawal » Khane Peene Ke Akhaam

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Baaz Auqaat Bartan Dhotay Waqt Chawal Kay Danay Severage Ki Nali Main Gir Jatay Hain,kiya Ye Jaiz Hay?aur Kiya Anhain Wahan Girnay Se Bachana Wajib Hay,chahay Wo Kam Ho Ya Ziada Hon,jab Kay Inhain Girnay Se Bachana Kafi Mushkil Hota Hay?
A: Agar Itni Miqdar Main Ho Jin Se Istifada Mumkin Hay,to Ye Jaiz Nahi Hay,chahay Kisi Hewan Ko Khilanay Kay Liye Hi Ho,aur Agar Wo Miqdar Main Kam Ho Ya Ganday Ho Gaey Hon To Inhain Kachray Main Dala Jasakta Hay, Agar Is Kam Se Nemate Parwardigar Ki Urfan Toheen Na Hoti Ho.
Q: Bachay Howay Khanay Maslan Roti Ya Chawal Waghaira Ko Kachray Main Dalnay Ka Kiya Hukum Hay,jabkay Ham Jantay Hon Kay Is Kachray Main Ain E Najis Ashiya Aur Najis Kapray Waghaira Bhi Hotay Hain?
A: Jaiz Nahi Hay,agar Ye Itni Miqdar Main Ho Kay Jis Se Istifada Karna Mumkin Ho, Chahay Hewan Kay Liye Hi Ho Ya Phir Is Tarah Se Ho Kay Jis Se Nemat E Parwardigar Ki Toheen Hoti Ho.

Gides © 2024 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved