Q: Aik Shakhs Nay Mujhay Kuch Raqam Di Takay Main Usay Radde Mazaalim Kay Unwaan Se Ada Kardoon To Kiya Ye Raqam Kisi Syed Faqeer Ko Hi Dena Wajib Hay Ya Awam Main Se Kisi Bhi Faqeer Ho Di Jasakti Hay?
A: Radde Mazaalim Kisi Bhi Shar'ee Faqeer Ko Diya Jasakta Hay Is Main Syed Aur Ghair Syed Main Koi Farq Nahi.
Q: Kiya Jo Raqam Saal Kay Kharchay Kay Baad Bach Jaey ,jo Radde Mazaalim Main Se Ho , Us Poori Raqam Ko Kisi Aik Shakhs Ko Aik Sath Diya Jasakta Hay?
A: Mehelle Ishkaal Hay,aihtyaat Ki Bina Par Aisa Na Kiya Jaey.