Aaj Ka Sawal » Hajj

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Agar Ye Tey Paey Kay Qafla Salaar Hujjaj Kay Liye Unkay Safar Main Unki Zarooriyat Kay Mutabiq Khudmaat Faraham Karay Ga,jis Kay Ewaz Wo Tey Shuda Ujrat Lay Ga To Kiya Qafla Salar Kay Liye Jaiz Hay Kay Wo Matlooba Khidmaat Say Kam Darjay Ki Khidmat Faraham Karay?
A: Wajib Hay Kay Hujjaj Ki Rehaaish , Ta'am Aur Deegar Khidmaat URF Kay Mutabiq Hon Kay Jo Aam Tor Par Maalma Kartay Waqt Dono Janib Afraad Kay Zehan Main Hota Hay.
Q: Agar Koi Shakhs Ghilafe Ka'ba Ka Kuch Hissa Lelay To Kiya Us Par Wajib Hay Kay Usay Wapis Lotaey Aur Kis Ko Wapis Day?
A: Agar Ye Cheez Usay Mas'ooleene Ka'ba Nay Dee Hay To Is Kay Liye Jaiz Hay Kay Is Ko Istemaal Karay Ya Isko Bechay Ya Kisi Ko Hiba Karay Ya Isko Namaz Kay Liye Musalla Qarar Day Ya Qurab Majeed Ka Ghilaaf Banaey Waghaira Laikin Agar Ye Cheez Us Nay Kisi Heelay Aur Bahanay Se Haasil Ki Hay To Aihtiyate Lazim Ki Bina Par Mas'ooleene Ka'ba Ko Wapis Karay.
Q: Hajj Kay Carvan Kay Mas'oleen Aur Wo Afraad Jo Deeni Masail Main Hujjaje Karaam Ki Rehnumai Farmatay Hain Jin Ka Har Saal Yehi Kaam Hay, Kiya In Afraad Ki Namazain Qasr Hain Ya Poori?
A: Agar Unkay Kaam Ka Dorania Kam Ho Maslan Teen Haftay Par Mushtamil Ho To Unki Namaz Qasr Hogi Aur Agar Kaam Ka Dorania Taveel Ho Maslan Teen Maah Par Mushtamil Ho To Unki Namaz Poori Hogi Aur Agar Shak Ho Kay Ye Afraad Kaseerus Safar Hogaey Hain Ya Nahi To Is Soorat Main Aihtiyate Wajib Ki Bina Par Namaz Poori Bhi Parhain Aur Qasr Bhi.
Q: Masomeen AS Ki Ziarat Ya Mustahab Hajj Kay Liye Paisay Donate Karna Ziada Fazeelat Rakhta Hay Ya Fuqara Ki Imdad Karna Ziada Fazeelat Rakhta Hay?
A: Faqeer Momineen Ki Imadad Karna Mustahab Hajj Aur Masoomeen As Ki Ziarat Say Ziada Afzal Hay Laikin Kabhi Mustahab Hajj Aur Ziarat Kay Sath Aisi Cheezain Munsalik Hojati Hain,jo Fazeelat Main Ya To Faqeer Momin Ki Madad Karnay Kay Barabar Fazeelat Rakhti Hain Ya Is Se Ziada Fazeelat Ki Haamil Hojati Hain.
Q: Kiya Haj Par Janay Walay Kay Liye Wajib Hay Ko Wo Safar Par Janay Se Pehlay Ibrauz Zimma Karay(yani Logo Se Apni Ghalation Se Mutalliq Muafi Talafee Karay)?
A: Aisa Karna Munasib Hay.

Gides © 2024 web developtment by GIFS Team | Rights Reserved