Q: Agar Kisi Shakhs Ko Hadas(yani Wuzu,ghusl Ya Tayammum Ko Batil Kardenay Walay Umoor) Kay Waqay Honay Ka Yaqeen Ho Aur Wo Apni Taharat(yani Wuzu,ghusl Ya Tayammum) Main Shak Karay To Iska Kiya Hukum Hay?
A: Jisko Hadas Waqay Honay Ka Yaqeen Ho Aur Wo Taharat Main Shak Karay To Usay Dobara Taharat Haasil Karna Paray Ge Isi Tarah Agar Usay Taharat Kay Baray Main Aisa Zann Ho Jo Sha'an Motabar Nahi Tab Bhi Isay Dobara Taharat Hasil Karna Paray Gi Laikin Agar Usay Hadas Kay Baray Main Shak Ya Zann Ho Jo Kay Shar'an Motabar Na Ho To Taharat Par Bina Rakhay Ga Yani Dobara Wuzu,ghusl Ya Tayammum Karnay Ki Zaroorat Nahi Hay.is Mas'alay Main Sirf Aik Soorate Istisnaa Hay Jo Minhaajus Saaliheen Main Bayan Kiya Gaya Hay.