Aaj Ka Sawal » Ghusal e Masay Mayyat

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Jis Murday Ka Tamam Badan Thanda Na Howa Ho Ussay Mas Karnay Par Kia Ghusal E Masay Mayyat Karna Hoga?
A: Us Ko Mas Karnay Say Ghusal E Mayat Wajib Nahi Hota Khowa Us Kay Badan Ka Jo Hisa Mas Howa Ho Wo Thanda Ho Chukka Ho.
Q: Kia Ghusal E Masay Mayyat Kay Baad Wuzu Karna Zarori Hay?
A: Wuzu Karna Zarori Nahi Hay.
Q: Ghusal E Mas E Mayyat Kab Wajib Hota Hay?
A: Agar Koi Shakhs Kisi Aisay Murda Insaan Kay Badan Ko Mas Karay Jo Thanda Ho Chuka Ho Aur Jisay Ghusal Na Diya Gaya Ho Yani Chonay Wala Apnay Badan Ka Koi Hissa Mayyat Say Lagaay To Zarori Hay Kay Ghusal E Mas E Mayyat Karay, Khowan Neend Ki Halat Main Us Nay Murday Ka Badan Mas Kia Ho Ya Baydaari Main, Khuwa Iraday Say Mas Kiya Ho Ya Iraday Kay Baghair Hatta Kay Agar Us Ka Nakhun Ya Haddi Murday Kay Nakhun Ya Haddi Say Mas Ho Jay Tab Bhi Ghusal Karna Zaroori Hay.
Q: Kia Ghusal E Mas E Mayyat Kay Baad Wuzu Karna Zaroori Hay?
A: Wuzu Karna Zaroori Nahi Hay.

Gides © 2025 web developtment by GIYF Team | Rights Reserved