Q: Agar Koi Zohar Tak Gusal E Jumaa Na Karay To Kiya Hukum Hay?
A: Agar Koi Shakhs Gusal E Jumaa Zohar Tak Anjam Na Day To Behtar Hay Kay Ada Or Qaza Ki Niyat Kay Bagair Guroob E Aftab Tak Baja Laaiy.
Q: Ghusal E Juma Ka Waqt Kia Hay?
A: Ghusal E Juma Ka Waqt Subha Ki Aazan Kay Baad Say Sooraj Guroob Honay Tak Hay Aur Behtar Yeah Hay Kay Zohar Kay Qareeb Baja Laya Jay.
Q: Agar Koi Zohar Tak Ghusal E Juma Na Karay Toh Kia Hukum Hay?
A: Agar Koi Shakhs Ghusal E Juma Zohar Tak Anjam Na Day To Behtar Hay Kay Ada Aur Qaza Ki Niyyat Kay Bagair Guroob E Aftaab Tak Baja Laay.
Q: Agar Koi Ghusal E Juma, Juma Kay Din Anjaam Na Day Sakay Toh Kia Hukum Hay?
A: Agar Koi Jumay Kay Din Ghusal Na Karay To Mustahab Hay Kay Haftay Kay Din Subha Say Guroob E Aaftab Tak Us Ki Qaza Baja Lay.
Q: Kia Haftay Kay Din Qaza Ki Niyyat Say Jumay Ka Ghusal Karnay Kay Ba'd Namaz Wagaira Kay Liay Wuzu Ki Zaroorat Ho Gi?
A: Ghusal Kafi Hay, Wuzu Ki Zaroorat Nahi Hay.
Q: Agar Koi Jumayrat Kay Din Ghusal E Juma Rija Ki Niyyat Say Karay, To Baad Mein Wuzu Karna Zarori Hay?
A: EhtIyat E Wajib Ki Bina Par Ghusal Kaafi Nahi Hoga, Ibadat Kay Liay Wuzu Karna Wajib Hoga.
Q: Agar Koi Ghusal E Juma Ki Qaza Haftay Kay Din Guroob E Aftaab Kay Bad Karay To Kia Aisa Ghusal Wuzu Kay Badlay Kaafi Hoga?
A: Kafi Nahi Hoga Balkay Wuzu Karna Hoga.
Q: Agar Koi Ghusal E Jumay Ki Qaza Haftay Kay Din Guroob E Aftaab Say Pehlay Karay To Kia Yeh Ghusal Kaafi Hoga?
A: Jee Haan Kaafi Hoga.