Q: Jis Aurat Nay Muta Kiya Ho Kiya Us Ka Shohar Jis Nay Is Say Muta Kiya Huwa Ho Isko Fitra De Sakta Hai?
A: Jee Han Wo Usko Fitra De Sakta Hai.
Q: Kiya Shia Kay Ilawa Kisi Musalman Ko Fitra De Sakte Hai?
A: Ehtiate Wajib Ki Bina Par Fitra Faqat In Shia Ishna Asheri Fukra Ko Dena Zarori Hai Jo Sharait Par Puray Utartay Ho.
Q: Agar Shia Na Mile To Dusre Musalman Ko Fitra De Sakte Hai?
A: Agar Sheher May Shia Ishna Asheri Fukra Na Mile To Dusre Musalman Fukra Ko Fitra De Sakte Hai Lekin Zarori Hai Ke Kisi Soorat May Nasbi Ko Na Diya Jai.
Q: Kiya Gair Sayyed Apna Fitra Syed Ko De Sakta Hai?
A: Gair Syed Kisi Sayed Ko Fitra Nahi De Sakta Hatta Kay Agar Sayyed Is Kay Han Khana Khata Ho Tab Bhi Iska Fitra Wo Dosray Sayyed Ko Nahi Day Sakta.
Q: Jis Aurat Nay Muta Kia Ho Kia Us Ka Shohar [ Jis Nay Us Say Muta Kia Huwa Ho] Us Ko Fitra Day Sakhtain Hain?
A: Ji Wo Is Ko Fitra Day Sakhta Hay.
Q: Kia Shia Kay Ilawa Kisi Musalman Ko Fitrah Day Sakhta Hain?
A: Ehtiyat Wajib Ki Bina Par Fitrah Faqat In Shia Isna Ashari Fuqara Ko Daina Zarori Hay Jo Sharait Par Poray Utartay Hoon.
Q: Kia Mah E Ramazan Main Fitra Ada Kar Saktay Hain?
A: Shab E Eid Ya Roz E Eid Say Qabal Mah E Ramazan Main Fitra Nikalna Jaaiz Hay Agarchay Mustahab Hay Kay Is Say Pehlay Fitra Nikaltay Waqt Wo Mustahiq Ko Qarz Ki Niyyat Say Dia Jay Aur Jab Shab E Eid Ya Roz E Eid Ka Waqt Aaye To Is Qarz Ko Fitra Kay Hisaab Main Kar Lay.
Q: Jis Aurat Nay Muta Kia Ho, Kia Us Ka Shohar Usay Fitra Day Sakta Hay?
A: Jee Wo Is Ko Fitra Day Sakta Hay.
Q: Kia Shia Kay Ilawa Kisi Aur Musalman Ko Fitra Day Satkay Hain ?
A: Ehtiyat E Wajib Ki Bina Par Fitra Faqat Un Shia Isna Ashri Fuqaara Ko Daina Zaroori Hay Jo Sharaait Par Pora Utartay Hon.
Q: Agar Shia Na Milay To Dosray Musalman Ko Fitra Day Saktay Hain?
A: Agar Shehar Main Shia Isna Ashri Fuqara Na Milay To Dosray Musalman Fuqara Ko Fitra Day Satkay Hain Lekin Zaroori Hay Kay Kisi Soorat Main “naasibi’’ Ko Na Dia Jaay .