Q: Bank Ya Kisi Idaray Main Kaam Karnay Walay Kay Liye Rzana Kay Kaamo Ka Aik Hissa Riba Walay Qarz Ya Dosray Haram Fe'l Say Marboot Hojata Hoto Asal Kaam Aur Iskay Liye Ujrat Lenay Ka Kiya Hukum Hay?
A: Riba Walay Haram Maamlaat Bhi Haram Hain Aur Inki Ujrat Lena Bhi. In Maamlaat Ki Ujrat Lenay Wala Iska Maalik Nahi Hay.
Q: Haquz Zahma Jo Bank Kisi Hawala Kay Badlay Me Talab Karta Hay, Sood Kehlata Hay?
A: Jee Nahi Ye Sood Nahi Hay
Q: Fix Deposit Account May Bank Se Milnay Walay Faida Ka Kia Hukum Hay?
A: Agar Ye Sharai Qawaneen Kay Mutabiq Ho Jaisay Wo Rakhi Gai Raqam Jo Sahi Fiqhi Usool Par Mabni Kaarobar May Invest Ki Jay Gi To Is May Koi Haraj Nahi Hay Aur Aisi Sorat May Milnay Wala Sara Faida Halal Hay.
Q: Kia Bank Kay Zariay Raqam Bhaijnay Ki Ujrat Laina Jaiz Hay?
A: Ji Jaiz Hay Aur Ye Sood Nahi Hay.
Q: Kia Bank May Inaam Jeetnay Ki Lalach Say Raqam Rakhna Jaiz Hay?
A: Agar Is Nay Quray Andazi May Shirkat Karnay Ki Shart Nahi Rakhi Hay To Koi Haraj Nahi Hay.