Aaj Ka Sawal » Azadari

SEARCH IN ALL QUESTIONS:  
Q: Roza Khwani Karnay Wali (Majlis Parhnay Wali) Khatoon Ki Awaz Ko Sunnay Main Talazzuz Aur Hejaan Se Kiya Murad Hay? Agar Haal Ye Ho Kay Baaz Logoon Ko Hejaan Hota Ho Jabkay Baaz Ki Shehwat Mai Koi Hejaan Na Hota Ho To Kiya Hukum Hay?
A: Is Mas'alay Main Hejaan Say Muraad Jinsi Lutf Andozi Aur Jazbaat Ka Bharakna Hay. Aur Awaz Kay Sunanay(ISMA'A) Mai Hejaan Ka Aitebaar No'ee Hay(yani Adatan Is Tarah Se Logon Ki Shehwat Kay Jazbaat Na Bharaktay Hon).Jabkay (ISTEMA'A) Yani Sunnay Main Mayaare Hurmat Shakhsi Hay(yani Agar Sirf Sunnay Walay Shakhs Hi Ko Shehwat Aur Lazzat Jinsi Hasil Ho Rahi Ho) To Uskay Liye Sunna Haram Hay.
Q: Tabal Aur In Jesay Alaat Ka Azadai Kay Julooso Main Istemaal Karna Kiya Hukum Rakhta Hay?
A: In Alaat Ko Azadari Kay Juloos Main Ma'roof Tareeqay Se Istemal Karnay Main Koi Maaney Nahi Hay,jabkay Tabal Alaate Mushtaraka Main Se Hay, Na Kay Moseeqi O Lahvo Laeb Kay Makhsoos Aalaat Main Se.
Q: Hamaray Ilaqay Main Behreni Tareqae Aza Par Majalise Husaini As Ka Ini'qad Hota Hay, Wo Is Tarah Kay Majlis O Matam Ko Lehen Kay Sath Parha Jata Hay Aur Shayad Iskay Baaz Lehen Ghina Aur Ganay Bajanay Kay,us Andaae Lehen Say Mushabah Hojatay Hain Kay Jo Lahvo Laib Ki Mahaafil Main Howa Karta
A: Jab Tak Is Lehen O Tarz O Adaa Ka Ahle Lahvo Laib Kay Muta'raf Lhen Main Se Hona Yaqeeni Na Ho To Iska Istemaal Majlise Azaa Main Jaiz Hay Aur Yaqeen Hoto Jaiz Nahi.
Q: Kiya Majlise Azaa Aur Marsia O Nauha Parhnay Wali Khatoon Kay Liye Apni Awaaz Ko Ghair Mard Ko Sunaana Jaiz Hay? Aur Kiya Mard Kay Liye Usay Sunna Jaiz Hay? Aur Sima'a Ghair Amdee(baghair Iraday Kay Sunna) Jesa Kay Agar Paros Main Khawateen Ki Majlis Horahi Ho Aur Koi Mard Apnay Ghar Main Be
A: Agar Awaaz Main Baareeki, Khoobsortee Awr Banao Aur Heejan-angezi Na Ho To, Khatoon Kay Liye Apni Awaaz Sunana Jaiz Hay. Albatta Mard Kay Liye Iski Awaaz Ko Sunna Uswaqt Jaiz Hay,jab Shehwat Angezi,lazzat Aur Dil Main Mael Na Aaey, Aur Wo Apnay Nafs Par Haram Main Mubtala Honay Ka Khouf Bhi Na Rakhta Ho.albatta Aisa Honay Ka Faqat Shak Ho To Is Soorat Main Aihtyaat Hi Munasib Hay. Balkay Behtar Hay Kay Baghair Zaroorat Kay Na Sunaya Jaey Aur Na Hi Suna Jaey.(beshak ALLAH Ki Ismat Ataa
Q: Abul Ahraar Imam Hussain As Kay Yeoume Tasooa'a(9 Moharram) Kay Din Tijartee Marakiz Aur Dukaanain Kholna Kiya Hukum Rakhta Hay?
A: Agar Ye Kaam Aihlebait As Par In Dinoo Main Guzarnay Walay Masaib Se Be-eitinaee Shumaar Hoto Phir Zaroor Is Say Guraiz Karna Chahiye.
Q: Kuch Video CDs Aisee Bhi Hoti Hain Kay Jin Main Baaz Nojawan Baghair Qamees Kay Matam Dari Kar Rahay Hotay Hain To Kiya Khawateen Kay Liye Aisi Video Dekhna Jaiz Hay?
A: Khawateen Kay Liye Jaiz Nahi Hay Kay Wo Mard Kay Jism Kay Wo Hissay Dekhain Kay Jin Ka Dekhna Muta'raf Nahi Hay Jesa Kay Seena Ya Pait Ka Hissa.
Q: Basa Auqaat Baaz Momineen Maahe Moharram Aur Safar Ya Balkay Tamam Ayyame Azaa Main Kuch Aisay Kaam Anjaam Detay Hain Kay Jo Ghair Munasib Hotay Hain Jesa Kay Shadee Biah, Naey Ghar Main Muntaqil Hona, Naey Saman Ki Khareedari, Jesa Kay Naya Furniture Ya Naey Kapray Waghaira Lena Ya Badan O Lib
A: Aisay Tamam Kaam Shar'an Haram Nahi Hain, Jab Tak Kay Un Say Ayyame Azaa Ki Hatake Hurmat Na Hoti Ho Jesa Kay Roze Aashoora Khushiyaan Manana Aur Zaibo Aaraish Karna. Albatta Munasib Ye Hay Kay Insaan Ahlebait As Kay Ayyame Museebat Main In Kaamo Ki Anjam Dahi Se Ijtinaab Karay Kay Jo Kaam Aam Tor Par Wo Apnay Ehbab Ki Musibat Main Bhi Anjaam Nahi Deta Magar Ye Kay Urfan Zaroori Kaam Hon, To Aisa Waqt Ikhtiyaar Karay Kay Jo Gham O Azaa Kay Lawazimaat Se Door Ho.
Q: Moharramul Haram Main Ashoora Kay Roz Baaz Khawateen Apnay Baaloo Ko Nochti Hain To Kiya Ye Jaiz Hay?aur Kiya Is Par Koi Kaffara Bhi Hota Hay?
A: Aisa Karna Jaiz Hay Aur Is Par Koi Kaffara Nahi.
Q: Kiya Kisi Kanwari Larki Ya Shadi Shuda Khatoon Kay Liye Namaze Jamat Ya Deeni Dars Ya Majalis Azaa Main Shirkat Ki Gharz Se Masjid Main Jana Durust Hay Jabkay Iska Baap Ya Shohar Razi Na Ho? Aya Ishkaal Sirf Us Waqt Hay Kay Jab Shohar Kay Haqq Kay Manafi Ho? Ya Har Soorat Main Iska Bahir Jana H
A: Shadi Shuda Khatoon Ka To Shohar Ki Ijazat Kay Baghair Ghar Se Nikalna Jaiz Hi Nahi Hay! Aur Ghair Shadi Shuda Larki Ka Is Tarah Se Bahir Jana Agar Baap Kay Liye(iski Shafqat Ki Wajah Se) Aziyat Ka Baais Ho, Jesa Kay Aam Tor Par Jawan Larkion Kay Ghar Se Bahir Janay Par Maujood Khatraat Se Baap Ko Khoof Hota Hay To Jaiz Nahi Hay.
Q: Hamaray Ilaqay Main Nawasae Rasool SAWW Aur Unkay Ashaab Ki Shahadat Ki Munasibat Se Pur Hujoom Matamdariyan O Majalis Azaa Munaqid Hoti Hain Aur Momineen Hubbe Ahebait As Main Fida Honay Kay Jazbay Se Sarshar Hokar Shirkat Bhi Kartay Hain Aur Ba-sakhawat Taawon Bhi Kartay Hain.ab Jabkay Aik Hi
A: TABZEER(nemat Ka Zaya Karna) Baaise Ghazabe Parwardigar Hay Aur Shar'an Haram Bhi. Lihaza Zaroori Hay Kay Har Wo Iqdaam Kiya Jaey Kay Jis Kay Zariye Zaya Honay Say Roka Jasakay Chahay Ye Kaam Intezamaat Karnay Walay Ashkhaas Kay Sath Salah Mashwaray Kay Zariye Ho, Takay Khana Itni Miqdaar Main Banaya Jaey Jo Asaani Say Kha Liya Jaey.
Q: Tabal Aur In Jesay Alaat Ka Azadari Kay Julooso Main Istemaal Karna Kiya Hukum Rakhta Hay?
A: In Alaat Ko Azadari Kay Juloos Main Ma'roof Tareeqay Se Istemal Karnay Main Koi Maaney Nahi Hay,jabkay Tabal Alaate Mushtaraka Main Se Hay, Na Kay Moseeqi O Lahvo Laeb Kay Makhsoos Aalaat Main Se.
Q: Aya Behtar Hay Kay Azadari Main Poora Majma Jama Honay Se Pehlay Hi Juloos Nikaal Liya Jaey Takay Waqte Namaz Honay Se Pehlay Hi Azadari Mukammal Karli Jaey? Ya Basoorate Deegar Ziada Azadaroo Kay Jama Honay Ka Intizaar Kar Liya Jaey Jabkay Is Soorat Main Namaz Ka Waqt Marasime Azaa Kay Mukamma
A: Azadaaro Ki Bharpoor Ta'daad Kay Jama Honay Ka Intizaar Kiya Jasakta Hay Albatta Namaz Ka Waqt Hojaey To Munasib Ye Hay Kay Mazasime Azaa Ko Rok Kar Pehlay Nmaaz Ada Ki Jaey Aur Phir Azadari Mukammal Karli Jaey.
Q: Hamaray Ilaqay Main Behreni Tareqae Aza Par Majalise Husaini As Ka Ini'qad Hota Hay, Wo Is Tarah Kay Majlis O Matam Ko Lehen Kay Sath Parha Jata Hay Aur Shayad Iskay Baaz Lehen Ghina Aur Ganay Bajanay Kay,us Andaae Lehen Say Mushabah Hojatay Hain Kay Jo Lahvo Laib Ki Mahaafil Main Howa Karta
A: Jab Tak Is Lehen O Tarz O Adaa Ka Ahle Lahvo Laib Kay Muta'raf Lhen Main Se Hona Yaqeeni Na Ho To Iska Istemaal Majlise Azaa Main Jaiz Hay Aur Yaqeen Hoto Jaiz Nahi.
Q: Kuch Video CDs Aisee Bhi Hoti Hain Kay Jin Main Baaz Nojawan Baghair Qamees Kay Matam Dari Kar Rahay Hotay Hain To Kiya Khawateen Kay Liye Aisi Video Dekhna Jaiz Hay?
A: Khawateen Kay Liye Jaiz Nahi Hay Kay Wo Mard Kay Jism Kay Wo Hissay Dekhain Kay Jin Ka Dekhna Muta'raf Nahi Hay Jesa Kay Seena Ya Pait Ka Hissa.
Q: Basa Auqaat Baaz Momineen Maahe Moharram Aur Safar Ya Balkay Tamam Ayyame Azaa Main Kuch Aisay Kaam Anjaam Detay Hain Kay Jo Ghair Munasib Hotay Hain Jesa Kay Shadee Biah, Naey Ghar Main Muntaqil Hona, Naey Saman Ki Khareedari, Jesa Kay Naya Furniture Ya Naey Kapray Waghaira Lena Ya Badan O Lib
A: Aisay Tamam Kaam Shar'an Haram Nahi Hain, Jab Tak Kay Un Say Ayyame Azaa Ki Hatake Hurmat Na Hoti Ho Jesa Kay Roze Aashoora Khushiyaan Manana Aur Zaibo Aaraish Karna. Albatta Munasib Ye Hay Kay Insaan Ahlebait As Kay Ayyame Museebat Main In Kaamo Ki Anjam Dahi Se Ijtinaab Karay Kay Jo Kaam Aam Tor Par Wo Apnay Ehbab Ki Musibat Main Bhi Anjaam Nahi Deta Magar Ye Kay Urfan Zaroori Kaam Hon, To Aisa Waqt Ikhtiyaar Karay Kay Jo Gham O Azaa Kay Lawazimaat Se Door Ho.
Q: Kia Imam Hussain A.s Ki Azadari Kay Daston Main Taizi Say Chalna Jaiz Hay?
A: Koi Haraj Nahi Hay.
Q: Kia Imam Hussain A.s Ki Azadari Kay Liay Masajid Main Qameez Utar Kar Matam Karna Jaiz Hay?
A: Koi Haraj Nahi Hay.
Q: Muharram Ul Haram Main Aashurah Kay Roz Baaz Khawateen Apnay Balon Ko Nochti Hain, To Kia Yeah Jaiz Hay? Aur Kia Is Par Koi Kaffara Bhi Hota Hay?
A: Yeah Amal Jaiz Hay Aur Is Par Koi Kaffarah Bhi Nahi.
Q: Hamaray Ilaqay Mein Behraini Tareeqa E Azaa Par Majalis E Hussain Ka Inayqad Hota Hay, Wo Is Tarhan Kay Majlis O Maatam Ko Lehan Kay Sath Parha Jata Hay Aur Shahyad Is Kay Baaz Lehan Gina Aur Gaana Bajanay Kay Us Andaaz Aur Lehan Say Mushaabeh Ho Jatay Ho Kay Jo Lah Wa Laib Ki Mehfil Mein Howa
A: Jab Tak Is Ka Lehan Wa Tarz Ka Ahalay Lehwa Laib Kah Muta'rif Lehan Mein Say Hona Yaqeeni Na Ho To Is Ka Istaymaal Majlis E Aza Mein Jaiz Hay.
Q: Azadari Kay Daston Kay Shuru Mein Chiraaghan Karna Kaisa Hay?
A: Koi Haraj Nahi Hay.

Gides © 2024 web developtment by GIFS Team | Rights Reserved