Q: Yazid Bin Muaawiya Imam Hussain A.S Se Baiyat Lene Par Itna Israr Kion Kar Raha Tha Yahan Tak Ke Zulm Karne Ki Nobat Aa Gai?
A: Yazid Har Us Shakhs Se Baiyat Lena Chahta Tha Jo Is Waqt Mashhoor Aur Ma'roof Tha, Jisme Se Imam Hussain A.S Sab Se Mashhoor Aur Ma'roof Thay Takay Apne Aap Ko Awaam Mein Ek Qanooni Khaleefa Pehchwanwaye, Isliye Usne Teen(3) Shakhsiyat Par Khaas Tawajjoh Di Aur Madine Mein Waleed Bin Utbah Ko Likh Kar Bheja (Hussain A.s, Abdullah Bin Umar Aur Ibne Zubair Se Baiyat Lo Aur Is Mein Koi Ghunjaish Nahi) Kion Ke Yazid Jaanta Tha Ke In Logon Ka Maqam Awaam Mein Yazid Se Ziada Hai, Khaas Tor Par Imam Hussain A.S Ka, Kion Ke Baqi Sab Sahaabi Hain Aur Imam Hussain A.S. Rasool Allah Ke Nawase The, Imam Hussain A.S Jannat Ke Jawanon Ke Sardaar Aur Panjtan Mein Se Paanchven Hain Aur Jo Jo Cheezain Insaan Ki Shakhsiyat Ko Mazboot Karti Hain Jaise Ilm, Ijtima'iyat, Deen Aur Ikhlaaq Woh Sab Aap Mein Mojood Thi.
Q: Yazid Bin Muawiya Imam Hussain A.S Se Baiyat Lene Par Itna Israr Kion Kar Raha Tha Yahaan Tak Ke Zulm Karne Ki Nobat Aa Gayi?
A: Aik Aur Baat Yeh Hay Ke Muawiya Ne Imam Hussain A.S. Ke Saath Jis Baat Par Sulah Ki Thi Woh Yeh Thi Ke Muawiya Ke Baad Khilafat Imam Hussain A.S. Ke Paas Aayegi, Is Liye In Tamam Baaton Ne Yazid Ko Khaas Tor Par Imam Hussain A.S Ke Khilaf Sochne Par Majboor Kar Diya Tha, Kion Ke Abdullah Bin Umar To Bohot Jald Hi Tasleem Ho Chuka Tha Jab Usne Yeh Kaha "Agar Log Baiyat Kar Lenge To Main Bhi Kar Loonga," Aur Jahan Tak Baat Rahi Ibne Zubair Ki To Sab Jaante Thay Ke Wo Hukoomat Aur Mansab Ke Peeche Tha, Lekin Imam Hussain A.S Aisi Shakhsiyat Ke Maalik Thay Ke Logon Ki Tawajjoh Aap A.S. Ki Taraf Thee, Is Liye Aap Logon Ke Dilon Mein Jagah Rakhte Thay, Bus Inhi Wajhoon Ki Wajah Se Yazid Chahta Tha Ke Jald Az Jald Is Maamlay Se Jaan Chutay, Yahaan Tak Ke Usay Imam Hussain A.S. Ko Ayyam-e-Hajj Mein Hi Qatal Karna Paray.
Q: Kis Ne Imam Hussain A S. Ke Khoon Ka Inteqam Lia?
A: Agar Inteqam Kay Maani Yeh Kiya Jaye Ke Un Logon Ko Qatal Karna Jo Imam Hussain A.S. Ke Qatal Mein Ba-zat E Khud Shareek The, Jaise Ibne Ziyad, Umar Ibn Saad Aur Shimar Waghera, To Khudaawand-e-Mutaal Ne Un Logon Ko Mukhtar E Saqafi Ke Zariye Saza Di Aur Unhon Ne Un Sab Ko Qatal Kiya Jo Karbala Mein Imam Hussain A.S. Ke Samne Aaye The. Aur Agar Inteqam Ka Maani Yeh Liya Jaye Ke Yazid Aur Jo Jo Uske Peechay Thay Unko Be-naqab Karna, To Imam Sajjad A.S Ne Yeh Kaam Bilkul Kiya Aur Yeh Kaam Aap A.S. Ne Apne Un Khutboon Ke Zariye Kiya Jo Shaam Ke Darbar Mein Yazid Aur Uske Madadgaron Ke Samne Diay, Yahaan Tak Ke Yazid Ko Aazan Ke Zariay Aap A.S. Ke Kalaam Ko Rukwana Para Kion Ke Yazid Imam A.S. Ke Khutboon Ki Wajah Se Be-naqab Ho Gaya Tha.
Q: Imam Hussain A.S Ne Kion Kofa Walon Ki Dawat Ko Qabool Kia Jabke Aap A.S Unki Halat Ko Jantay Thay Aur Yeh Ehtimaal Tha Ke Wo Saath Chor Daingay Jaise Ke Unhon Ne Imam Ali A.S. Ka Saath Chor Diya Tha?
A: Imam Hussain A.S Ka Kofa Walon Ki Dawat Par Labbaik Kehna Chand Wajohat Ki Bina Par Tha:
Unki Dawat Par Labbaik Kehna Un Par Hujjat Ko Tamam Karna Tha, Balki Haqeeqat Mein Yeh Mamla Is Se Bhi Zyada Gehra Tha Jo Agle Nuqat Mein Wazeh Ho Jayega.
Imam Hussain A.S. Apne Shaheed Honay Ki Jagah Ko Jante Thay, Unko Rasool Allah (SAW) Ne Aap A.S. Ko Is Ki Khabar Pehle Hi De Di Thi Aur Saath Mein Karbala Ki Mitti Bhi Di Thi.
Imam Hussain A.S. Ke Liay Koi Jagah Bhi Jaye Panah Nahi Thi Aur Is Par Daleel Aap A.S. Ka Yeh Qoul Hay, "Agar Main Zameen Ki Gehraaie Mein Bhi Chala Jaoon To Yeh Log Mujhe Wahan Se Bhi Nikaal Kar Qatal Karainge."
Q: Jab Imam Hussain A.S. Ko Kofa Walon Ki Janab Muslim A.S. Se Bay-wafaaiee Aur Aap A.S. Ki Shahadat Ka Ilm Hogaya Tha To Aap A.S. Kion Wapas Madinah Na Paltay?
A: Imam Hussain A.S. Ke Liye Yeh Aasaan Nahin Tha Ke Aap A.S. Khawateen Aur Bachon Ke Saath, Jinki Tadaad Soo(100) Se Bhi Ziada Thee, Wapas Madinah Palt-tay Aur Umavi Hukumat Ki Faujay Bhi Aap A.S Aur Madinah Kay Raste Mein Maujood Thee Aur Wo Aap A.S. Ko Har Haalat Mein Qatal Karnay Ka Irada Rakhti Thee. Isi Tarah Khud Sheher E Makkah Aur Madinah Aap A.S. Ki Madad O Nusrat Nahi Kar Saktay Thay Kionkay Pehli Baat To Yeh Ke Yeh Dono Shehar Haram E Khuda Aur Haram E Rasool Allah (SAW) Hain, Jahan Qatal O Garat Gari Mana Hay, Aur Doosri Baat Yeh Ke Agar Un Shehron Mein Imam Hussain A.S. Ke Madadgar Hote To Wo Aap A.S. Aur Aap A.S. Ke Khandan Walon Ko Tanha Nahi Chortay. Imam Zainul Abideen A.S. Ke Is Jumlay Se Iski Haqeeqat Wazeh Ho Jaati Hai, "Makkah Aur Madinah Mein Bees(20) Aadmi Nahi The Jo Hum Se Muhabbat Karte."
Q: Riwayat Mein Naqal Howa Ke Agar Imam Hassan A.S. Muawiyah Ke Khilaf Khar’y Hotay Aur Us Se Jang Karte Howay Shaheed Ho Jaatay To Aap A.S. Ka Yeh Amal Imam Hussain A. S. Ke Bar-aks Islam Aur Msalmanon Ke Liay Ba'is Nang O Aar Hota Jabke Imam Hussain A.S Ka Qatl Islam Ke Liay Izzat Ka Sabab Hai, Iski
A: Hum Nay Koi Aisi Khabar Nahi Dekhi Ke Agar Imam Hassan A.S., Imam Hussain A.S. Jaisa Amal Anjaam Dete To Yeh Ba'is Nang O Aar Hota. Har Zamane Ke Apne Taqazay Hotay Hain, Pas Agar Imam Hassan A.S. Sulh Ko Anjaam Na Dete To Imam Hussain Alayhissalam Ki Is Tehreek Ke Muqaddamat Farahm Nahi Hote.
Q: Kis Ne Imam Hussain (A.S.) Ke Khoon Ka Intiqam Liya?
A: Agar Intiqam Ka Ma’ni Yeh Liya Jaye Ke Un Logon Ko Qatal Karna Jo Imam Hussain (A.S.) Ke Qatl Mein Barah-e-raast Shareek Thay, Jaise Ibn Ziyad, Umar Ibn Sa’ad Aur Shimr Waghera, To Khuda-e-muta’al Ne In Logon Ko Mukhtar Al-Thaqafi Ke Zariye Saza Di. Mukhtar Ne Un Tamam Logon Ko Qatal Kiya Jo Karbala Mein Imam Hussain (A.S.) Ke Muqabil Aaye Thay. Lekin Agar Intiqam Ka Ma’ni Yeh Liya Jaye Ke Yazid Aur Us Ke Pichhe Jo Log Thay Unhein Be-naqab Karna, To Yeh Kaam Imam Zain-ul-Abideen (A.S.) Ne Anjaam Diya. Aap (A.S.) Ne Apne Khutbat Ke Zariye, Khaaskar Shaam Ke Darbaar Mein Yazid Aur Us Ke Madadgaaron Ke Samne, Unke Zulm Aur Haqeeqat Ko Be-naqab Kiya. Aap (A.S.) Ke Kalam Itne Asar Daar Thay Ke Yazid Ko Azan Ke Zariye Aap Ka Khutba Rukwana Pada, Kyun Ke Imam (A.S.) Ke Alfaaz Uski Haqeeqat Ko Sab Ke Samne Aashkaar Kar Rahe Thay.
Q: Imam Hussain (A.S.) Ne Koofa Walon Ki Dawat Ko Kyun Qabool Kiya Jabke Aap (A.S.) Unki Haalat Se Waqif Thay Aur Yeh Bhi Ehtemaal Tha Ke Woh Aap Ka Saath Chhod Denge Jaise Unhone Imam Ali (A.S.) Ka Saath Chhoda Tha?
A: Imam Hussain (A.S.) Ka Koofa Walon Ki Dawat Par Labbaik Kehna Kuch Khaas Wajahaat Ki Buniyad Par Tha:
1. Unki Dawat Par Labbaik Kehna Un Par Hujjat Tamām Karna Tha — Ya’ni Unhein Kisi Bhi Taur Par Baad Mein Yeh Kehne Ka Moka Na Mile Ke Unhone Dawat Di Thi Aur Imam (A.S.) Ne Jawab Nahi Diya. Magar Asal Mein Yeh Maamla Is Se Bhi Zyada Gehra Tha, Jo Aage Ke Nuqaat Se Wazeh Hota Hai.
2. Imam Hussain (A.S.) Ko Apni Shahadat Ki Jagah Ka Ilm Tha, Kyunki Rasool Allah (S.A.W.W) Ne Aap Ko Is Baat Ki Pehle Se Khabar De Di Thi, Aur Kufa Ke Paas Waqeh Karbala Ki Mitti Bhi Ata Ki Thi.
3. Imam Hussain (A.S.) Ke Paas Koi Bhi Jagah Panah Lene Ke Liye Nahi Thi. Is Par Sabse Badi Daleel Aap Ka Yeh Mashhoor Jumla Hai:
"Agar Main Zameen Ki Gehrayi Mein Bhi Chala Jaaun, To Yeh Log Mujhe Wahan Se Bhi Nikaal Kar Qatl Karenge." Ya’ni Yazidi Hukoomat Har Soorat Mein Aap (A.S.) Ka Khoon Bahaana Chahti Thi, Aur Aap (A.S.) Kisi Bhi Soorat Zulm Ke Aage Jhukne Ko Tayyar Nahi Thay. Is Liye, Imam Hussain (A.S.) Ka Koofa Jana Ek Sochi Samjhi, Ilahi Hikmat Aur Shahadat Ki Taraf Qadam Tha — Jiska Maqsad Islam Ko Zinda Karna Tha.
Q: Kya Aap Bata Sakte Hain Ke Yeh Riwayat Kisi Qadr Is Riwayat Ki Sahih Hai Jis Mein Imam Sadiq (a.s.) Ne Farmaya: "Jis Ne Mere Jadd Imam Hussain (a.s.) Par Giriya Kiya Ya Koshish Ki Ke Use Giriya Aaye To Woh Jannat Mein Daakhil Hoga"?
A: Is Tarah Ke Matlab Par Muta’addid Riwayaat Hain Jin Ke Ma'soomeen (a.s.) Ki Taraf Se Sadir Hone Par Itminan Kiya Ja Sakta Hai. Balki Yeh
Mazmoon Ke Aitbaar Se Mutawatir Hai Aur Ba’z Asnaad Ke Lehaaz Se Sahih Bhi Hain, Jaise:
Ek Sahih Hadees Mein Ali Bin Al-Hussain (a.s.) Se Riwayat Hai:
"Jo Momin Imam Hussain (a.s.) Ke Qatl Par Aansu Bahaaye Yahan Tak Ke Uska Aansu Us Ke Rukhshaar Par Beh Jaaye, Allah Ta’ala Usay Jannat Ke Aise Mahalaat Mein Theh Raayega Jahan Woh Hamesha Rahega." (Tafsir Al-Qummi)
Abu Abdillah (a.s.) Se Riwayat Hai:
"Aey Abu Amarah! Jo Shakhs Imam Hussain (a.s.) Ke Baare Mein Sher Padhe Aur Pachaas Logon Ko Rulaye To Us Par Jannat Wajib Hogi (yahan Tak Ke Imam A.s. Ka Bayan Is Maqam Tak Pahuncha Ke): Agar Us Ne Jo Sher Padha Us Par Ek Shakhs Ko Rulaye Ya Khud Roye To Us Par Bhi Jannat Wajib Hai, Aur Jo Sher Padh Kar Khud Rone Ki Koshish Kare Us Par Bhi Jannat Hai." (Wasa'il Al-Shi'ah, Jild 10, Safha 465).
Is Tarah Ki Riwayaat Imam Hussain (a.s.) Ki Azadari Ki Fazilat Aur Is Ke Sawaab Par Dalaalat Karti Hain.
Q: Raj'at Ke Baad Riwayat Hai Ke Hazrat Fatima Zahra (sa) Qayamat Ke Din Apne Bete Imam Hussain (as) Ka Sar-e-mubarak Le Kar Aayengi... Is Ka Kya Matlab Hai?
A: Hazrat Fatima Zahra (sa) Se Muta'alliq Is Riwayat Mein Imam Hussain (as) Ka Sar-e-mubarak Ek Misaal (tasveer Ya Namoona) Ki Shakal Mein Hoga. Yeh Misaal Ya To Jadeed Aalaat (jaise Screens Waghera) Par Nazar Aane Wali Tasveer Ki Tarah Ho Sakti Hai, Ya Phir Yeh Ek Haqeeqi Namoona Hoga—jaise Allah Ta'ala Us Din Ke Waqiye Ki Yaad Dehlani Ke Liye Imam Hussain (as) Ke Sar-e-anwar Ko Paida Karega. Lekin Is Misaal Ka Khud Imam Hussain (as) Se Laazmi Tor Par Ta'alluq Nahin Hoga, Kyun Ke Yeh Bhi Mumkin Hai Ke Imam Hussain (as) Khud Bhi Us Maqam Par Mojood Hon. Un Ka Wahan Mojood Hona Aur Is Riwayat Ke Saath Us Ka Hum Aahang (compatible) Hona Koi Tazad (conflict) Nahin Rakhta.Balke Yeh Zyada Munasib Hai Ke Imam (as) Raj'at Ke Waqt Khud Tashreef Farma Hon, Jab Ke Abhi Tak Na To Aisa Koi Waqi'a Pesh Aaya Hai Aur Na Hi Aise Kisi Sar Ki Misaal Mojood Hai.
Q: Masumeen (a.s) Se Manqool Hai Ke: "Aey Aba Abdillah (a.s)! Tumhare Din Jaisa Koi Din Nahi" Is Ka Kya Matlab Hai?
A: Yeh Qoul Imam Hasan (a.s) Ka Hai, Jismein Aap (a.s) Ne Waaqia-e-Karbala Ki Azeemat Ko Bayan Farmaya Hai. Aap (a.s) Ne Farmaya Ke Yeh Waaqia Itna Azeem Hai Ke Mujhe Zeher De Kar Shaheed Kiya Jana Bhi Is Ke Muqable Mein Choti Museebat Hai. Sab Se Zyada Rona Aur Sab Se Lamba Gham Agar Kisi Museebat Ka Hai, To Woh Sirf Aba Abdillah Al-Hussain (a.s) Ki Shahadat Hai. Aaj Chahe Zalim Kitni Bhi Museebatein Aur Aafatein Kyun Na Laayen, Magar Waaqia-e-Karbala Hamesha Sab Se Zyada Dardnaak Aur Afsosnaak Rahega. Kyunke Yeh Waaqia Tha Rasool Allah (s.a.w) Ke Nawasey Aur Tamaam Makhlooq Par Hujjat-e-Khuda Ko Intehai Wahshiyana Tareeqe Se Shaheed Karne Ka. Aur Is Ke Saath: Behtareen Ahlul Bayt (a.s) Bhaiyon, Beton, Masoom Bachon, Aur Ashaab (jo Masumeen Ke Baad Zameen Ke Behtareen Log The) Ko Bhi Mazloomana Aur Pyaasa Shaheed Kar Diya Gaya. Is Par Mazeed Zulm Yeh Tha Ke: Aap (a.s) Ki Khawateen Ko Qaid Kiya Gaya, Unhein Maara Peeta Gaya, Aur Un Ki Be-hurmati Ki Gayi. Lihaza: Koi Bhi Museebat, Chahe Kitni Bhi Shiddat Wali Ho, Karbala Ki Haulat Aur Azaab Ke Qareeb Bhi Nahi Pahunch Sakti. Sirf Hujjat-e-Khuda Ko Shaheed Kar Dena Hi Sab Se Bad Museebat Hai.Jaise Ke Hazrat Saleh (a.s) Ki Oontni Ko Qatl Karne Wala Guzashta Logon Mein Sab Se Badbakht Tha (kyunke Us Ne Allah Ki Nishani Ko Qatl Kiya),Ussi Tarah Imam Hussain (a.s) Ke Qaatil Bhi Baad Walon Mein Sab Se Badbakht Hain — Kyunke Unhon Ne Ek Masoom Imam Aur Tamaam Insaniyat Par Hujjat-e-Khuda Ko Shaheed Kiya.
Q: Kya Imam Hussain (A.S) Jaante The Ke Is Safar-e-Karbala Mein Khawateen Aur Bachon Ko Qaid Kiya Jaega?
A: Imam Hussain (A.S) Ko Apne Ahl-e-Bait (A.S) Ki Aseeri Ka Ilm Tha Kyun Ke Aap (A.S) Ko Ghaibi Aur Baatini Uloom Haasil The. Lekin Aap (A.S) Par Zaahiri A’maal Ki Bunyaad Par Amal Karna Wajib Tha. Lehaza Jab Ahl-e-Kufa Ne Aap (A.S) Ke Haath Par Bai’at Kar Li To Zaahiri Tor Par Tamaam Sharaait Poori Ho Chuki Thein. Is Liye Imam (A.S) Ne Apne Ahl-e-Bait (A.S) Ko Saath Liya Taa Ke Unki Hifazat Kar Sakein, Kyun Ke Agar Aap (A.S) Unhein Hijaz Mein Chhor Dete To Yazeed Unhein Yargamaal Bana Kar Imam (A.S) Ki Tehreek Ko Mehdood Ya Majboor Kar Sakta Tha – Jaisa Ke Sayyid Ibn Taoos Ne Kitaab "Al-Luhoof" Mein Zikr Bhi Kiya Hai.
Q: Jab Imam Hussain (A.S.) Ko Kufa Walon Ki Janab Muslim (A.S.) Se Bewafai Aur Aap Ki Shahadat Ka Ilm Ho Gaya Tha To Aap (A.S.) Kyun Wapas Madina Nahin Palte?
A: Imam Hussain (A.S.) Ke Liye Yeh Aasan Nahin Tha Ke Aap (A.S.) Khawateen Aur Bachon Ke Saath, Jin Ki Tadaad So Se Bhi Zyada Thi, Wapas Madina Palte. Aur Umavi Hukumat Ki Faujein Bhi Aap (A.S.) Aur Madina Ke Raste Mein Maujood Thi Aur Woh Aap (A.S.) Ko Har Halat Mein Qatl Karne Ka Iradah Rakhti Thi.
Isi Tarah Khud Shehar-e-Makkah Aur Madina Bhi Aap (A.S.) Ki Madad O Nusrat Nahin Kar Sakte The, Kyun Ke Pehli Baat To Yeh Ke Yeh Dono Shehar Haram Allah Aur Haram Rasool Allah ﷺ Hain Jahan Qatl O Gharatgari Mana Hai. Aur Doosri Baat Yeh Ke Agar In Shehron Mein Imam Hussain (A.S.) Ke Madadgar Hote To Woh Aap (A.S.) Aur Aap (A.S.) Ke Khandan Walon Ko Tanha Nahin Chhortay.
Imam Zain-ul-Abideen (A.S.) Ke Is Jumlay Se Is Ki Haqeeqat Wazeh Ho Jati Hai:
"Makkah Aur Madina Mein Bees Aadmi Nahin The Jo Hum Se Muhabbat Karte."
Q: Riwayat Mein Naql Hua Ke Agar Imam Hasan (A.S.) Muawiyah Ke Khilaf Kharay Hote Aur Us Se Jang Karte Hue Shaheed Ho Jate To Aap (A.S.) Ka Yeh Amal Imam Hussain (A.S.) Ke Baraks Islam Aur Musalmanon Ke Liye Baais-e-nang O Aar Hota, Jabke Imam Hussain (A.S.) Ka Qatl Islam Ke Liye Izzat Ka Sabab Hai. Is
A: Hum Ne Koi Aisi Khabar Nahin Dekhi Ke Agar Imam Hasan (A.S.) Imam Hussain (A.S.) Jaisa Amal Anjam Dete To Yeh Baais-e-nang O Aar Hota. Har Zamane Ke Apne Taqaze Hote Hain. Pas Agar Imam Hasan (A.S.) Sulah Ko Anjam Na Dete To Imam Hussain (A.S.) Ki Is Tehreek Ke Muqaddamat Faraham Na Hote.
Q: Khanah-e-Kaaba Ki Fazilat Zyada Hai Ya Karbala Ki?
A: Hamare Paas Jo Riwayat Hain Un Se Yeh Zahir Hota Hai Ke Karbala Ko Makkah Par Fazilat Hasil Hai, Balkeh Use Khanah-e-Kaaba Par Bhi Fazilat Hasil Hai.
Imam Muhammad Baqir (A.S.) Se Riwayat Hai Ke:
"Allah Tabarak Wa Ta‘ala Ne Karbala Ki Zameen Ko Kaabay Se 24 Hazar Saal Pehle Khalq Kiya Aur Use Muqaddas Aur Ba-barkat Banaya. Pas Is Se Pehle Ke Khudawand-e-Muta‘al Makhluqat Ko Khalq Karta, Yeh Ek Mubarak Ta‘aruf Tha. Aur Yeh Barkat Aur Taqaddus Us Waqt Tak Jari Rahega Jab Tak Khuda Use (Karbala Ko) Jannat Mein Bhi Sab Se Afzal Tareen Maqam Na Qarar De Aur Aisa Maskan Na Bana De Jis Mein Allah Apne Auliya Ko Jannat Mein Rakhe."
(Kamil Al-Ziyarat, Safha 444)
Q: Khanah-e-Kaaba Ki Fazilat Zyada Hai Ya Karbala Ki?
A: Baaz Aisi Riwayat Bhi Hain Jin Se Makkah Ki Doosre Shehron Par Fazilat Zahir Hoti Hai. Jaise Ke Ek Riwayat Jo Imam Ja‘far Sadiq (A.S.) Se Hai:
"Allah Ke Nazdeek Sab Se Zyada Mahboob Zameen Makkah Ki Hai Aur Us Ki Mitti Se Zyada Koi Bhi Mitti Khuda Ko Mahboob Nahin, Aur Us Ke Pathar Se Zyada Khuda Ko Koi Aur Pathar Mahboob Nahin, Aur Us Ke Pahaar Se Zyada Khuda Ko Koi Aur Pahaar Mahboob Nahin, Aur Us Ke Pani Se Zyada Koi Aur Pani Allah Ko Mahboob Nahin."
Pas In Do Tarah Ki Riwayat Ki Wajah Se Ulama Mein Ikhtilaf Hai Ke Kaun Zyada Afzal Hai. Baaz Ne Afzaliyat Makkah Ko Di Hai Aur Baaz Ne Karbala Ko, Aur Baaz Ne Makkah Ko Baqi Tamam Rehne Ke Maqamat Par Fazilat Di Hai Siwaye Qabr-e-Nabi ﷺ Aur A’immah (A.S.) Ke.